Kaise kare Facebook log out jab kisi or ke phone ya computer me Facebook log out karna bhul jaaye




Hello friends

Kai baar aap apne friends ke ghar par ya kahi par bhi computer me kaam kar ho to aap apna Facebook account jarur open karte honge , or kaam finish karne ke baad jaldbaaji me ap apna Facebook account band karna bhul jaate ho yaani log out karna .
Tab aapko ye dar bhi rahta hoga ki kahi koi or apke account ke saath chhedkhaani to nahi kar raha ya uska koi galat istemaal to nahi kar raha .
Ye sab baate dimag me aati hai , lekin ab ap gabraay nahi kyonki me aj aapko bataunga ki agar apke saath kabhi aisa ho to aap apne ghar se hi apne Facebook account ko sabhi jagah se log out kar sakte vo bhi sirf ek mint me .

To chaliye karte hai sabhi jagah se log out .


1).  Sabse pahle aap apne Facebook ko open kare ( Facebook ko chrom , opera , uc , jaise browser me open kare , Facebook ke browser me nahi kyonki vo usme achhe se kaam nahi karta .


2).  Ab aap setting me jaaye .

3).  Ab security me jaaye .

4).  Ab isme aapko " where you're logged in " ka option milega us par click kare .

5).  Is par click karne ke baad apke saamne kuchh option dikhenge jaise -
Last access , location , device type ,
Aisa likha hua milega . isase aapko pata chal jaayega ki aapka account kab kitne baje kis device me open hua hai .

6).  Ab sabke saamne    "End Activity "   ya   × laga hoga us par click karna hai ab aapka account sabhi jagah se log out ho jaayega .

Ye sab aap khud karke dekh sakte hai jaise -   apne Facebook account ko
Opera , chrom , uc browser , sabhi me open kare . or jo Maine bataya hai vo kare or dekhe ki aapka Facebook sabhi browser me se log out ho jaayega .

Ab agar aapko koi preshaani ho to comment karke puchh sakte ho


Ye post apko kaisi lagi apni ray jarur de





                  Hello friends
Mera naam *ashish Kumar* hai or mai koi professional blogger nahi hu par meri soch isase bhi uper hai .ap mere blog se Jude rahe mai apko aisi or jaankari bhi deta rahunga .

                     ***thanks***

Comments

Popular posts from this blog

Kaise kare android app se ads ko remove

Kaise lagaye WhatsApp par bina crop kiye apni full image

Kaise kare android phone me Recycle Bin add